Aaj jamia ke islamiyat ke ek student se meri mulakat hui. are mulakat kya bahas wo bhi garmagaram. Mujhe maza aaya magar dukh bhi hua. Tausif ne bahut pahle mere liye Kaha tha aap bhi sun lo."Tum bhi ajib shai ho shafique ! ke jahan bhi rahna uktaye huye rahna" Shayed sach kaha tha Magar wo zara dharmik kisam ka haina eisliye mujhe uski har baat me khot nazar aata hai eisliye mai pakke taur per nahi kah sakta wo sahi tha Khair. wo sahab bangaal sarkar ke khilaf jihad karke laut rahe the . sarkaar ke khilaf bolna ya unki nition ka virod karna koi galat nahi ab sarkaar chahe jiski ho dukh hoga to chikh to nikalni hi chahioye, so chhodiye unhone badi badi bate shuru ki aur phir sari baat musalmano ki problum per aagayi. mai bhale mazhabi nahi magar samaj ke pichhde logon ya hashiye per rahne walo per baat karna apna manviya kartawya samajhta hun. baat hyi magar aakhir wo apni aukat per aa hi gaye, ab mujhe bhi aana tha maine bina kisi jhijhak ke unhe bataya ki mai na to mazhabon me yaqin rakhta hun aur na hi mazhabi baton me koi ruchi. pertikiya kya huyi hogi andaza kathin nahi, ab tak wo meri jin baton ko sarah rahe the unhe kaatna shuru kiya phir mujhe ghalat thahrane ki apni sanak per aagaye. Mazhabi logo ki dikkat hamesha hi ye rahi hai ki wo dusre vicharo ko jagah nahi dena chahte , ye nire Jahil kisam ke phaltu log hote hai jo tark se thik ulta chalte hai. Magar kya ye MAzhabon ka darshan jante hai Sach hai ki nahi inhe kewal apni baat sabit karni hoti hai. ye wo log hai jo duniya ko apne tariko se chalne dene me yakin rakhte hain aur kabhi kabhi to inki ye sanak itna bad jati hai ki kya kahne ....................................................................................................................................................
Khair kal puri baat karunga aajkal waqt zara kam hai na
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें