Chalo to aaj maine faisla kar hi liya ! zindagi me pahli baar maine logon ko sangathan se bahar kiya varna meri aadat rahi hai Sangathan chhod dena. Maine eis baar bhi aisa hi kuchh socha tha magar kya kiya jaye jab mera istifa manzur nahi hua aur sangathan ka dabao bhi raha so maine apna sangathan jhhad diya achchhi tarah ................ Ab mai nishchint hun ki mai ab sanghthan me behtar logo ko la sakunga. Mujhe aaj bhi lagta hai maine aisa kiyo kia mujhe alag ho jana chahiye tha magar phir tasalli eis baat ki hoti hai ki mai ne waqt diya jab log udasin rahe to kuchh to karna hi tha dus din tak notice taiyyar karke bhi nahi bheji taki kuchh hal nikal aaye aur mai sangathan chhod kar alag ho ja sakun magar aisa nahi hua , to mujhe apne hatho hi unlogon ko baher karna pada jo sangathan per bojh the. Humen kaam karna tha aur samajik jivan me timing ka bada mahatav hota hai so kuchh to karna tha.........................................
Mujhe pata hai jo log bahar gaye wo mujhe dang se nahi samjhe the unka man na tha ki mai jis tarah pesh aata hun waise mai kathor faisle nahi le sakta magar sach to ye hai ki jabtak aap mere sath ho tab tak mujhse behtar insaan shayed hi mile magar mere sath nahi to mai aapke astitv se bhi inkaar karta hun
Mai social nahi mai dost nahi rakhta Zyada logo ka group nahi banata Shadiyon ya partion me nahi jata kiyoki mai apna her waqt apne uddeshon me lagana chahta hun, Haan dukh hai Zarur hai aakhir maine do saal unlogon ko diye . unse baten ki ghanton unke sath raha samajik jivan ke tips diye eke k kutniti aur karyaniti batai taki wo meri jagah le sake, unki vyaktigat samsyaon me laagatar unke taraf se sochha Afsoos to hai magar khushi bhi ki job hi prinaam nikalna tha jaldi nikal aaya aur maine sirf do saal hi lagaya Ye bhi hai ki mai 24 saal ka hun aur eisliye maine abhi tak job hi kiya usme do saal bahut mayne rakhte hai, magar mujhe khushi eis baat ki hai ki un sathiyon ka ye rang aage chal kar hota to kya hota. Ab mujhe un do saalon ko pura karne ke liye mujhe lagataar kaam karma hoga. Aur mai karunga. Kiyoki vyaktigat bhawnao ka hona achchhi baat hai magar so kahin achchha hai samagr bhawna ka hona
Wo jabtalak tufano se darta raha
Ashk banke palko se chipka raha
Wo sochta hai bahadur hai wo
Aaj qatil humen bata raha hai.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें