Log jinke sataye huye hai wo satta pe chhaye huye hai
Paap karte hain! Paapi nahi hain Ye to Ganga nahaye huye hain.
...........................................................................................................
Gujrat sarkar ne do perkaron per rajdroh ka mukadma dayar kiya. Dono petrkar bade pertisthit angregi akhbar se hain. Aur un per aarop hai ki unhone ek puliye ke khilaf akhbar me likha. Aur wo pulisiya adhikari NAMO NARAYAN(Narendra Modi ko aisa hi kuchh kahte hain) ke dularua the So ye rajdroh ho hi gaya. Tab bhai Vasundhra ji kaise pichhe rahti aakhir Maharani hain unki hukamuduli ki saza to maut honi chahiye unhone bhi “Lutere” Gujjaron ke Neta bainsela ke khilaf rajyadroh ka mukadma aayed kar diya...................
Satta ke mad me chur hokar dharm jaati aur kshetrvad ki ye rajniti koi nai baat nahi. Humara Itihas bhara pada hai aise udahrano se. Rana sanga jab Baber ko bharat per akarman ki dawat deta hai to aasha rakhta hai ki baber Rajya jeetkar use saup de magar jaise hi wo khud raj karna chahta hai videshi ho jata hai.....................
Maharastra me bhi ek Mahanubhav hai ek Cartoonist se shuru hua unka safar ab ek karodpati Bala sahib ka hai unhone ne Maharastra walon ka kya bhala kiya Pata nahi Magar Bal Thakre se Bala sahib thakre zarur ho gaye. Aur bakaul ek purw loksabha adhyaksh Kanun se upar bhi. Unke raste per ab Raja sahib Thakre bhi hain. Unki Aan baan dekh kar lagta hai hum loktantrik desh me nahi kisi Raj-shahi me ji rahe hain. Ye tamam baton per apne vichar rakhte hain ye chahte hain ki koi einki bhawna ko thes na pahuchaye magar einka dhandha dusron ki bhawna se khilwad hi hota hai. Ye wo Narpishach hai jo aam aadmi ka khun khud unke hathon nikalwa kar pite hain.
Namo ne to had kar di satta ke gharur me ek saal ke liye Gujrat ko Desh se alag karne ki baat kah di. Shayed juniar Lauhpurush ye bhul gaye ki Kar lene dene ki perkirya aur vikaswadi batvara hi desh ki akhandta hai. Kashmir se lekar kanyakumari tak ke akhand Bharat bhumi me vas karne wala koi aam nagrik agar apne vikas aur bhagidari se asantust hokar aawaz uthaye to aise hi sanki aur apna ullu sidha karne wale log use gaddar batane ke liye pani pi pi kar chillate hain. Magar khud hi us akhandta ke khilaf bolte hain. Ye besharmo ki wo katar hai jo Khud to nangi hai hi dusro ko bhi nanga karna chahti hai.
Hamesha se satta ke Dalal rahe ye log janta ki kurbanio aur preshaniyo se zara bhi matlab nahi rakhte. Shahar me hone wala her Balatkar Her hatya einhe rajniti ka Mohra dikhta hai, Ye janna chahte hai ki pidit kaun hai koi Hindu koi Musalman ya koi sikh ya koi eisai..........taki Roti sek saken.
Magar her Maut ek priwar ko kitna sadma deti hai ek Ladki se hone wala balatkar se hua sadma Mayne rakhta hai.aur ye dard Mazhab nahi dekhta. Rajniti agar lok niti nahi ban pati aur aam Nagrik Dard ka aapsi rishta bana pate to yakinan hum Aazadi ke asli chehre se Mahrum ho Rahenge.
Aaj jab ki hum khud ko Vikas ki daud me sabse aage hone ke sarkari dawon per khud ko suvidha sampann man rahe hain tab aur dukh hota hai ki sarkar ke us aakde per humari nazar kiyo nahi jaati jo kahta hai ki Aaj bhi desh ki 70 pertishat aabadi ki pertidin ausat aay Matra 20 rupe hai. Tab hum kiyo nahi sharmate.
Aur yahi 70 pertishat aabadi hi asli bharat hai .......................................................
वे कौन लोग हैं जो पृथ्वी को नारंगी की शक्ल में देखते हैं और इसे निचोड़कर पी जाना चाहते हैं यह तपी हुई अभिव्यक्ति है उस ताकत के खिलाफ---जो सूरज को हमारे जीवन में---उतरने से रोकती है---जो तिनके सा जला देती है---और कहती है---यह रही तुम्हारे हिस्से की रोशनी।'
कुछ बातें जो संभ्रात इतिहास में दर्ज नहीं की जा सकेंगी
-
मन्दिरा इंसान दो तरह के होते हैं! अच्छे लोग और बुरे लोग........मगर इतना भर कह देने से सब कुछ ठीक नहीं होजाता! दुनिया रंगीन है यह...
Raj satta aur raj droh !
सदस्यता लें
टिप्पणियाँ भेजें (Atom)
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें