kahte hai ki aap jaisa sochte hain waisa milta hai magar mere sath hamesha hi aisa hua ki maine jab bhi achchha socha bura hua, mai ye nahi kahta ki us se mera nuksan hua magar dusron ka hona bhi to mayne rakhta hai na mai janta hu wo log jo mujhse alag huye wo mere liye hamesha hi nuksan ka sabab the magar mai unhe pyar karta tha unke sath mera har vyawhar unki bhalayi ke liye tha aisa mai sochta hun sach kahta hun mujhe unlogon se koi fayda nahi tha maito farsh se lejakar arsh tak pahuchane ke liye kaam kar raha tha magar mai sach janta hun jinki wajah se wolog mujhse alag huye hai wo unhe dudh se makkhi ki tarah nikal denge, maine hamesha unhe maaf kiya hai magar mai sochta hun ab nahi aakhir kab tak yaar sab kuchh jante huye bhi jab ki koi bhi insan apna pind chhuda len tab bhi mai sath raha us musibat ke waqt maine mujhse pyar karne walon se jo vyawhar kiya wo aaj bhi mujhe lajjit karta hai magar jane kiyo mai dukhi hun, mai janta hun mai ghalat nahi tha magar magar dard hua hai mai aaj jab itna akela aur preshan hun tab mai kya karun mujhe samajh nahi aata, mai gussa hokar bhi gussa nahi hun aaj sachme lachargi ka ahsas hua hai magar shayed zindagi eisi ka naam hai sabse badi mushkil ye hai ki mai janta hun ye samasya wyakigat nahi samajik hai ek andhi daud jime girna hi hai magar mai apne uddesh se bhatak gaya hun aaj mujhe kuchh nahi kahan mai bus zor zor se chikhna chahta hun aur kuchh nahi mai puchhna chahta hun mai jab kisi ka bura nahi sochta to ye ilzam mujh per kiyo, koi apni karni ko dusre ki galti kaise bata sakta hai mana mai bahut gussa karta hun magar kiyo ye sochne ki zarurat hai
chhodo yaara chalta hai "Hum kahan rukne wale arsho farsh ki aawaz se
humen jana hai dur bahut dur kahin hade perwaz se"
Magar bhawnao ko kuchal kar! dosto ko chhod kar!
Shayed han Shayed nahi
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें