कुछ बातें जो संभ्रात इतिहास में दर्ज नहीं की जा सकेंगी

Diary : Ye ishq nahi Aasan!


Ayen ke tabana e zibt e b hindu bari !
Hum aamoz az wi perstish gari !!
(Amir khusro)
( O you who seen at the idolatry of the Hindu, Learn also from him how worship is done)

……………………………………………………………………………………………
Ye ishq nahi aasan ek aag ka dariya hai aur tair ke jana hai!
...........................................................................................................
Kal tv me do khabren dekhi ek to maharastra se thi dusri ke jo uttarperdesh se thi, dono me ek baat comman thi wo ke dono hi jagah kuchh logon ne dusro ko pita tha Pahli khabar me Loksatta ke sampadak ke ghar kuchh Shivaji ke bhakto ne hamla kiya tha. Dusri khabar me go vansh ke rakshakon ne kuchh logo ko bandh kar police ke samne apna insaaf kiya.........................

Ek baat yaad aati hai ki Shiva ji ke samay Yadhrat ek sainik jab khet se ek ganna tod kar chus leta hai, to usper koda barsaya jata hai, Aur shivaji sakht hidayat karte hai ki kisi bhi nagrik ko nuksan na pahuchaya jaye. Aur inhi shiva jee ke bhakt ek ghar me utpat machate hai Karan ki Us sampadak ne shivaji ki pertima lagne ke khilaf likha tha aur uska manna tha ki 200karod ki pertima banane ke bajaye sarkar un zinda logon ki sudh le jo vidarbh me atmahatya kar rahe hai. Sahi bhi hai ke ji rajya ke chote se hisse vidarbh me ausatan 10 kisan roz atmahatya kar rahe hon wahan shivaji ki ek pertima matra per karodo ka kharch kya aam aadmi ka mazak udana ya yun kahen ki un kisano ki lash per nanga nachna nahi to aur kya hai.
Dusri khabar me kuchh logo ko gau vansh taskari ke aarop me pakadkar police ke samne marne ki thi. Mana ki wo gau taskar the aur unhe saza milni chahiye magr jinlogon ne unhe mara unko ye adhikar prapt kaise hua. Aur mana ki unki astha ko thes pahuchi magar kiski astha aur kaisi aastha Badi kamzor aastha hai aapki jo har bar dalk jati hai. Mujhe puchho to mai ek aadmi ki jaan ke badle ek govanshi ek mandir ek masjid ek gurudwara ek girja aur ek hazar baar apni astha ko thes lagwadun. Kiyon ki Dharm saja aur Jaza nahi deta ye ek astha hai Ishq ki astha aur Ye ishq hi hai ki jis per sabkuchh lutane ke baad bhi bechaini bani rahe, agar aap ishwar se Ishq karo to uski rachna se karna hi hoga Rachna Pertyaksh hai ishwar apertyaksh. Perwachno aur aatma permatma ke Shabd jalo me hum ishwar ko hi lagatar chhep rahe hai,

Heer Ranjhe ki kahani hai na ! ye koi satya ghtna nahi balki Punjaab ke ek Sufi Waris Ali shah ki rachna hai jo unhon ne akaishwarvad ke sidhant ko kahani ke rup me dhala hai. Kahani ke ant me Jab ki heer apne Malik e haqiqi se ja milti hai. To diwana Ranjha bekari se use dhundhta phirta hai. use kuchh Dharmik log Allah ki yaad me waqt guzarne ko kahte hai wo taiyyar hojata hai. Wo ranjhe ko apne sect me shamil karne ki vidhiwat rasm karte hai Apni shanka ke samadhan ke liye puchhta hai ke aisa karne se kya use heer mil jayegi ! jawab milta hai ki Nahi eisse heer ko bhulne me madad milegi aur khuda milega! Apna tam jham utar kar phekte huye ranjha kahta hai ki use us khuda ki zarurat nahi jo ki use apni heer se alag kar de..........................................

Kahani chahe mahaz ek kahani ho magar sanket to saaf hai khuda se pyar karne ka dawa tab phika hota hai jabtak junun na ho ranjha janta tha heer mar chuki use ab wo nahi pasakta magar wo ishq kaisa jo tark soche ya vikalp dekhe ye baniyo ka kaam hai aashiko ka nahi unhe to bus to bus ishq nibhana hota hai ab anjaam chahe jo ho.
Ishq tabtak ishq hota hai jab tak bina kisi tark ke kiya jaye aur lagataar kiya jaye. Dharmo me ab ye nahi milta ab dharmik log ishq nahi karte wo Nafrat karte hai logon se Khuda se khud se ..............
Dharmiklog ab murda log hai.....................maine abhi kahin pada tha bhisma pitamah ki dharm per vyakhya ki “dharm jo man swikare aatma paksh dhar ho aur ..........” Dharm darasal Ishq ka sansthagat rup hai jahan na to vasna hai na hi koi parda wahan sirf ytharthta haiAnantta hai, Na koi seema na koi lakshya.

Han magar tamam dharmo ne apne liye ek kayde zarur banaye magar ye kayde (...............Baki kal..............)


Ek dhamaka hua tan ke chithde ude
Jane kiske Mazhab ka bhala ho gaya
Aur ke...........................................................
Ye siyasat ki kalabaziya hain janab
Mathe pe chandra tilak Hathon me kabab




कोई टिप्पणी नहीं: